Monday 8 October 2012

Pata Nahi


Anjaane rasto ke safar mai,
Manjil kab milegi pata nahi.
Dhoop me ghire badal ghanere,
Kab barsenge pata nahi.
Hosalo ke is dagar me,
kab kinare milenge pata nahi.
Khusiyo ke in chaurahe pe,
kab sahi rasta milenga pata nahi.
Zindagi ke is safar mai,
kab saccha sathi milega pata nahi.
Gam ke tarane bahut hai,
kab khusiyo ka saaz milega pata nahi.
Hum to yun hi muskura lete hai,
kab saachi muskaan milegi pata nahi.

Khamosh Labz !!!

Labz keh rahe dil ki baat aaj Pehle.
Jab nikale ga aashiko ka janaja hum hi reh jayenge akele.
Kyunki jab bhi pyaar kiya kisi se.
Bahut dur ki duri ki soch li.
Par sab sacchai samne aayi apno ne ankhein mod li.
Aaj khus hoon ki main akela hoon.
Par usi akelepan ke gam ke asko ke jaam pita hoon.
Khusi ki parchai jab dekhna chaha.
Kisi na kisi ki parchai saath me dekhna chaha.
Aaj ankhein nam aur labz chup hai..
Baarish me nikli deemi si dhoop hai..
Kabhi na kabhi saacha saathi milega hame bhi..
Yahi soch kar ankhein nam aur labz chup hai.
Labz chup hai..

Hum nahi!!

Rishto ko ajmane wale hum nahi.
Kisi ko yunhi rullane wale hum nahi.
Mushkura kar karte hai gam ka samana..
Kyunki.
Waqt aur haalat pe rone wale hum nahi.

Khaas!!!

Labz na keh sake jo baat aaj fir sunnate mai gum ho gayi..
Dil me agar chupa hota hai raaaz to kyun ankhein bhar aayi..
Duniya ke kisi kone me jarur hoga koi hamre liye.
Yahi soch fir se chehre pe choti se muskaan aa gayi..

Raaz..

Dard me dube har dil ki fikr karta hai mera ye nadaan dil aaj.
Bheed me gum har ek us insaan ka zikr karte hai khamoshiyon ki ye alfaaz.
kya bataye ye zindagi ka falsafa.
Lifafe me bannd us chitti ke har sabd key jaise hai har kisi ki kismat ka raaz.

Aankhien aur ashq

Waqt se haar jaane ka daar aaj kyun sata raha hai,
sabdo ke piche chupi kaise ye khamoshi ka sama hai.
Kois samajh na jaaye ye kya mazra hai.
Isliye ankhon ke piche ashko ko chupa rakha hai.