Sunday, 15 May 2011

Apne aur khwab

khwab ke is jahan me har koi apna sa laga,
par jab kholi aakhein koi bhi apna na tha,

kyun ho gaye hai sab door ye maine naa jaana,
par jab bhi koi kareeb aaya maine usse apnaaya,

ye ajeeb si haalat me hai zindagi,
kaun apna kaun paraya pehchanna hai mushkil,

labz kuch kehna chahte hai,
duur jo hai unhe paana chahte hai,

par dil ki alag hi paribhasha hai,
apnao unhe jo tumhe apnana chate hai...

yahi soch aaj mann kuch yu gungunaya,
khwabo ke baag me naya mausam hai chaaya,

is mausam me kuch naye panchi aayenge,
aur mere akelepan ko dur le jayenge,

isi baat pe khus rehna chahta hoon,
ki kal ke khwab me naye apno ko dekhna chahta hoon.

isliye aaj me need ka intezaar kar raha hoon,
ki khwab me naye apno ko dekhna chahta hoon..

ki khwab me naye apno ko dekhna chahta hoon...




No comments:

Post a Comment