Aankhei kholi jab maine
unke ankhe nam thi,
Jab bola maine pehla shabd
unhe mili khusi thi,
Jab pehla kadam rakha maine is jamin par
tab unka hi sahara tha,
Aur jab padhne lage kuch shabd hum
tab unke sur ko apnaya tha.
Fir jab karne jaate school me padhai
tab inki bahut yaad ayi,
Homework complete karne ke liye
har baar inse daant khai,
Jab bhi kisi cheez ki manmani ki
kabhi gussa to kabhi pyaar se samjhaya inhone,
Fir lag gayi daud dost banane ki
tab inme hi saccha dost paaya humne.
Jab bhin aayi mushkile humpe,
sahare me hamesha apko hi paaya hai
Aisa lagta hai humne is dharti pe
apke roop me bhagwan ko paaya hai.
SJ