Saturday, 22 September 2012

To baat kya!!!!


Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya
Sari Duniya Roti hai Chup kar
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya
Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki
Maine thoda Soch liya to Bat Kya
Roshni ki Chah to sab ko hai
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya
Zindagi k is Haseen Khwab me
Maine Use mang liya to Bat Kya
Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya
Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya


© http://shayari.co.in/sms/hindi-poems#ixzz27CDmpBaF

Sunday, 16 September 2012

Sunday Myth...


Most of the time we wait for Sunday to come so that we can spend some time with own.
But on Sunday d best n worst thing we do is end up doing nothing but remembering that person who never cares abt you or had left in such phase where you thought your life will change..

IT hurts...
Love hurts but whatever be the quotes,
Love always make you feel good.

Friday, 14 September 2012

Laut aana...

jab kabhi tera dil ghabraye tujhe meri yaad aye to laut aana..
Tera saath koi choddey agar koi tera dil todey to laut aana..
Kuch accha waqt guzra hai saath tumhare woh waqt yaad aye to laut aana..
Yahi waqt aksar saath nahi detey dil walon ke pass rehkar agar koi saath na dey to laut aana..
Na jaane teri itni yaad jyun aati hai agar ye paigaam pahuch jaye to laut aana...

Kiski Khata....

Aisi khwaishe kyun karta hai dil..
Jise paana hi mushkil hota hai..
Kaise samjhaun main isse..
Jo har pal kisi ke liye dhadakta rahta hai..
Chale pyar ke rasto pe jab bhi..
Dard ke siva kuch na mila hai..
Fir bhi kar leta hai kisi na kisi se pyaar..
Ye hamari nahi dil ki khata hai..
Wo hame chahe na chahe,
ektarfa chahne ka alag hi maza hai..
Tod kar dil har waqt hamara wo..
Har waqt hame de dete ek nayi saza hai..
Yun to ham kaafi akele reh lete hai.
Par dil ki khwaish kaun samajhta hai..
Laga ke apna dil hamesha yahi keh dete hai..
Ye hamari nahi dil ki khata hai..

My Version - Bade acche lagte hai..

Lafzo mai hai kitni baatein..
Baaton mai hai yaadein..
Yaadon ki wo saari raina..
Har pal mujhe satatey..
Saare sapne apne banke
Har pal humko satatey
Kiski hai ye humko chahat.
Dhoond rahi hai ye aankhein.
Magar sacche lagte hai..
Ye aanshu ye needein ye dhadkan aur
Gum...
Bade aachhe lagte hai...